aap se shikwa ye karna hai agar raaz rahe ahd mein husn ke hum kushta-e-andaz rahe shart parda hai to ye aaj se andaz rahe meri aawaz mein pinhan teri aawaz rahe ban gaya dard muqaddar se mere ye warna naz to ruh-e-mohabbat hai agar naz rahe main jo asrar-e-mohabbat kahin zahir kar dun ho ke har saz se paida teri aawaz rahe aap ke gham ko chhupa lun ye baja farmaya aur agar rang-e-rukh aamada-e-parwaz rahe sans mein naza ki hichki ko badalta hun main sai-e-akhir hai agar raaz-e-wafa raaz rahe