aaankhon mein murawwat teri ai yar kahan hai puchha na kabhu mujh ko wo bimar kahan hai nau khat to hazaron hain gulistan-e-jahan mein hai saf to yun tujh sa numudar kahan hai aaram mujhe saya-e-tuba mein nahin hai batlao ki wo saya-e-diwar kahan hai lao to lahu aaj piyun dukhtar-e-raz ka ai muhtasibo dekho wo murdar kahan hai furqat mein us abru ki gala katunga apna myan dijo use dam meri talwar kahan hai jin se ki ho marbut wahi tum ko hai maimun insan ki sohbat tumhein darkar kahan hai dekhun jo tujhe khwab mein main ai mah-e-kanan aisa to mera tala-e-bedar kahan hai sunte hi us aawaz ki kuchh ho gai wahshat dekho to wo zanjir ki jhankar kahan hai din chhine wo jab dekhiyo ghaarat-gari us ki tab sochiyo khurshid ki dastar kahan hai us din ke hun sadqe ki tu khinche hue talwar ye puchhta aawe wo gunahgar kahan hai hanste to ho tum mujh pe wa-lekin koi din ko rooge ki wo mera giraftar kahan hai ai gham mujhe yan ahl-e-tayyush ne hai ghera is bhid mein tu ai mere gham-khwar kahan hai jab tak ki wo jhanke tha idhar mahr se hum to waqif hi na the mahr par anwar kahan hai us mah ke sarakte hi ye andher hai 'ehsan' malum nahin rakhna-e-diwar kahan hai