adab mein muddai-e-fan to be-shumar mile magar na 'mir' ke 'ghaalib' ke wirsa-dar mile junun-e-ishq ko daman to tar tar mila maza to jab hai gareban bhi tar tar mile bade maze se guzari hai zindagi main ne khuda ke fazl se haalat sazgar mile kisi ke dil pe bhala ikhtiyar kya hoga bahut hai apne hi dil par jo ikhtiyar mile ye kya sitam hai ki aada to paen hur-o-qusur jo un ke chahne wale hain un ko dar mile mere mizaj ko bakhsha hai inkisar agar ba-qadr-e-zarf tabiat ko inkisar mile har ek amal pe mukallaf bana ke farmaya kahin se dekhna daman na dagh-dar mile mera mazaq hai ikram-e-dostan 'wasfi' wo dil hi pas nahin jis mein kuchh ghubar mile