aab-o-gil aur kuchh hawa duniya bas yahi hai tere siwa duniya thodi khushiyan hain thodi taklifen aur thodi si hai dua duniya ab main us ko kahan-kahan dhundun jis ke bais hui rawa duniya aisa shayad kabhi hua hoga jab hui meri ham-nawa duniya pahle dhundla sa ek tasawwur thi tujh se mil kar hui hai wa duniya