be-asar aarzu be-asar hai dua ba-asar hai faqat ek us ki raza wo gunahgar mahshar mein bakhsha gaya rahmat-e-haq pe jis ne bharosa kiya zindagi ne mujhe munh lagaya na jab munh chidhane lagi mera zalim qaza dast-e-qudrat mein main ek khilauna sa hun kis liye hai gunahon ki mujh ko saza naujawani mein to mahw-e-ishrat rahe ab budhape mein aai hai yaad-e-khuda dil kisi ke tasawwur mein khoya rahe dard-e-dil ki yahi hai faqat ek dawa waqt aisa bhi aata hai insan par hona padta hai maidan mein tanha khada jaane kyon aaj 'laghar' ne chup sadh li warna wo roz deta tha haq ki sada