aab o giya se be-niyaz sard jabin-e-koh par garmi-e-ru-e-yar ka aks bhi raegan gaya sath pe taza phul hain kaun samajh saka ye raaz aag kidhar kidhar lagi shoala kahan kahan gaya raaz-e-khirad ho kuchh bhi ab raaz-e-junun to ye hai bas aankh thi be-basar rahi tir tha be-kaman gaya umr-e-rawan ki manzilen tul-e-tawil mukhtasar aap bhi ham-safar rahe ghair bhi ham-inan gaya