duniya ne sach ko jhut kaha kuchh nahin hua itna lahu zamin pe baha kuchh nahin hua pahle bhi karbala mein mashiyyat khamosh thi ab ek charagh aur bujha kuchh nahin hua firaun-e-maslahat sar-e-tur-e-nazar rahe musa bhi le ke aae asa kuchh nahin hua mere lahu ko chehre pe mal kar meri zamin deti rahi falak ko sada kuchh nahin hua taslis-e-be-hisi ne haram ko zubun kiya quran bhi rehl-e-jaan se gira kuchh nahin hua shal ho gae hain hath dua mangte hue ab kya kahun ki mere khuda kuchh nahin hua dekhen wo subh-e-amn kab aae 'safi'-hasan ab tak siwa-e-jaur-o-jafa kuchh nahin hua