aabla-pai hui na zist mein hail kabhi

aabla-pai hui na zist mein hail kabhi
panw kab mere thake gar ho gae ghail kabhi

pur-kashish hai mahfil-e-duniya bahut apni jagah
par mujhe ye apni jaanib kar saki mail kabhi

har amal ka ajr hai mahfuz apne rab ke pas
koi bhi achchha amal jata nahin zail kabhi

chha gai masti badan mein aur dil par ek surur
zehn mein jab baj uthi mahbub ki pail kabhi

jholiyan bhar di gain rahmat se rab ki dosto
kab hai khali hath lauta koi bhi sail kabhi

baat sachchi hai to kahne mein takalluf kya tujhe
log ho hi jaenge 'akif' tere qail kabhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close