aaj se pahle tere maston ki ye khwari na thi mai badi ifraat se thi phir bhi sarshaari na thi ek hum qadron ki pamali se rahte the malul shukr hai yaron ko aisi koi bimari na thi zehn ki parwaz ho ya shauq ki ramish-gari koi aazadi na thi jis mein giraftari na thi josh tha hangama tha mahfil mein teri kya na tha ek faqat aadab-e-mahfil ki nigah-dari na thi un ki mahfil mein nazar aae sabhi shoala-ba-kaf apne daman mein magar koi bhi chingari na thi kal isi basti mein kuchh ahl-e-wafa hote to the is qadar ahl-e-hawas ki garm-bazari na thi husn kafir tha ada qatil thi baaten sehr thin aur to sab kuchh tha lekin rasm-e-dildari na thi