aabru kya khak us gul ki ki gulshan mein nahin hai gareban nang-e-pairahan jo daman mein nahin zof se ai girya kuchh baqi mere tan mein nahin rang ho kar ud gaya jo khun ki daman mein nahin ho gae hain jama ajza-e-nigah-e-aftab zarre us ke ghar ki diwaron ke rauzan mein nahin kya kahun tariki-e-zindan-e-gham andher hai pamba nur-e-subh se kam jis ke rauzan mein nahin raunaq-e-hasti hai ishq-e-khana viran saz se anjuman be-shama hai gar barq khirman mein nahin zakhm silwane se mujh par chaara-jui ka hai tan ghair samjha hai ki lazzat zakhm-e-sozan mein nahin bas-ki hain hum ek bahaar-e-naz ke mare hue jalwa-e-gul ke siwa gard apne madfan mein nahin qatra qatra ek hayula hai nae nasur ka khun bhi zauq-e-dard se farigh mere tan mein nahin le gai saqi ki nakhwat qulzum-ashami meri mauj-e-mai ki aaj rag mina ki gardan mein nahin ho fishaar-e-zof mein kya na-tawani ki numud qad ke jhukne ki bhi gunjaish mere tan mein nahin thi watan mein shan kya 'ghaalib' ki ho ghurbat mein qadr be-takalluf hun wo musht-e-khas ki gulkhan mein nahin