baada-e-khum-e-khana-e-tauhid ka mai-nosh hun chur hun masti mein aisa be-khud-o-madhosh hun gird phirne de mujhe saqi ye mera farz hai misl-e-saghar daur mein hun baada-e-sar-josh hun tarz-e-khamoshi meri batlati hai is raaz ko hun nawasanj-e-haqiqat lakh main khamosh hun dardmand-e-ishq ho kar zabt ka khugar hun main surat-e-simab ho kar paikar-e-khamosh hun kis ki furqat wasl kis ka aur hai mashuq kaun 'shad' main is aalam-e-takwin ka ham-aghosh hun