aabru ulfat mein agar chahiye rakhni sada chashm ko tar chahiye dil to tujhe de hi chuke jaan bhi lijiye hazir hai agar chahiye yar mile ya na mile subh-o-sham kucha-e-jaanan mein guzar chahiye nam bhi nam ka na raha chashm mein ab tu girye lakht-e-jigar chahiye tir-e-nigah wo hai ki jis tir ke samne hone ko jigar chahiye ab ki bache ji to kisu ke tain phir na kahen bar-e-digar chahiye dil bhi jawahar hai wa-lekin huzur is ke parakhne ko nazar chahiye