aap hi nakhuda raha hun main aap hi dubta raha hun main ishq se aashna raha hun main husn ka muddaa raha hun main kahin tera bharam na khul jae khud ko khud se chhupa raha hun main raunaq-e-do-jahan mujhi se hain aa raha hun main ja raha hun main jaise koi bhi haq na ho mujh ko yun tujhe dekhta raha hun main ai junun ab to rahbari farma harf-e-matlab pe aa raha hun main mere zimme hai kis qadar mushkil jagte ko jaga raha hun main ai khuda tujh se kuchh na mang sakun ye dua mangta raha hun main gumrahi ka mujhe na de ilzam tujh ko pahchanta raha hun main ye zamana bhi dekhna tha mujhe tujh se aankhen chura raha hun main zarf mera buland hai 'tariq' jaan kar haarta raha hun main