aadmi aadmi se milte hain aap bhi kya kisi se milte hain ye hasin jis kisi se milte hain jaanta hai mujhi se milte hain hum se furqat-nasib kya jaanen jo maze zindagi se milte hain kya bataen junun mein kya kya lutf hum ko un ki hansi se milte hain kya kahen jab wo milte hain tanha un se hum kis khushi se milte hain us ki surat ko phir koi dekhe jis se wo be-rukhi se milte hain un ki rukhsat ke waqt hum un se hae kis bekasi se milte hain lakh gham-e-zindagi hai khud yani lakh gham-e-zindagi se milte hain apne mazhab mein hai nifaq haram jis se milte hain ji se milte hain sukhan-e-'dagh' ke mere 'raghib' sukhan-e-'shauq' hi se milte hain