hum aaj kuchh hasin sarabon mein kho gae aankhen khulin to jagte khwabon mein kho gae hum safha-e-hayat se jab be-nishan hue lafzon ki ruh ban ke kitabon mein kho gae aaina-e-bahaar ke kuchh aks-e-muzmahil khushbu ka rang pa ke gulabon mein kho gae dar-asl barshgal ke tum aaftab the barsat jab hui to sahabon mein kho gae nikle the jo bhi aaj talash-e-sawab mein wo zindagi ke sakht azabon mein kho gae dil ko thi ek shahr-e-tamanna ki justuju lekin hum aarzu ke kharabon mein kho gae jab masala hayat ka kuchh hal na ho saka hum 'kaif' falsafe ki kitabon mein kho gae