aadmi aur aabru ke baghair

aadmi aur aabru ke baghair
phul ho jaise rang-o-bu ke baghair

main fida tujh pe ai nigah-e-karam
chal gaya kaam guftugu ke baghair

kya isi ka hai nam mai-khana
log baithe hain ha-o-hu ke baghair

tha rag-e-jaan se tu qarib magar
pa sake hum na justuju ke baghair

kya mujhe tum khuda samajhte ho
baat karte nahin jo tu ke baghair

farz kar lo ki mil gai jannat
kaise guzregi us ke ku ke baghair

tum se 'arshi' na ho sakegi kabhi
zist us shokh-e-tund-khu ke baghair


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close