aao kuchh gardish-e-taqdir ka shikwa kar len

aao kuchh gardish-e-taqdir ka shikwa kar len
jis se mahrum rahe us ki tamanna kar len

jis taraf dekhiye aaine hi aaine hain
apni surat ka ba-sad-rang tamasha kar len

husn majbur hai khud jalwa-numai pe magar
maslahat ye hai ki kuchh hum bhi taqaza kar len

naunihaalan-e-chaman tishna na ho jaen kahin
aao kuchh khun-e-jigar aur muhayya kar len

jeb-o-daman mein abhi fasla kuchh baqi hai
minnaten aap ki hum hazrat-e-isa kar len

gul ki rag rag mein nazar aaega mali ka lahu
wa agar ahl-e-nazar dida-e-bina kar len

baat 'arshi' ki nazar aati hai gar uthli si
imtihan is ka na kyon qibla-o-kaba kar len


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close