aadmi jab khun ka pyasa hua azmat-e-insan bhi dhoka hua aap ko shohrat mili achchha hua mera kya hai main agar ruswa hua qabr par aaoge rone ke liye meri jaan ye bhi koi wada hua wada-e-farda pe jo talta rahe wo mariz-e-hijr kab achchha hua jab meri aawargi had se badhi aabla-pa lala-e-sahra hua ab chaman mein wo sakun 'ahsan' kahan ek nasheman tha mila jalta hua