yun sukunat ki talabgar hui jati hai zindagi saya-e-diwar hui jati hai har mulaqat pe kuchh aur bahakti nazren kya teri zat pur-asrar hui jati hai subh kahti hai mere sath chalo aage badho mat kaho zist giran-bar hui jati hai yun samai hai teri sans meri sanson mein har nafas garmi-e-afkar hui jati hai dagmaga kar hi meri zist sambhalti hai zara kaun kahta hai ki be-kar hui jati hai ruh to jism se rishte ko nibhane ke liye maut se barsar-e-paikar hui jati hai justuju us ki agar koi khata hai 'adil' ye khata mujh se lagatar hui jati hai