aadmi ka hai fasana khak se hai azal se dostana khak se aap ke chehre pe raunaq hai bahut kya koi nikla khazana khak se main kisi ka bhi rahun muhtaj kyon pa raha hun aab-o-dana khak se ek qadam bhi kya uthe us ke baghair chal raha hai ye zamana khak se zahr bhar de jo tumhaare khun mein mat ugao aisa dana khak se jina marna hai lahad ki khak mein mera raushan aastana khak se 'sahir' aalam aashkara ho gaya pyar tera walihana khak se