wo baat jo huzur ko mujh se khafa kare dil mein tamam umr na aae khuda kare itna to hai ki tham liya aap ne hi dil allah mere dard-e-jigar ko siwa kare aa jaen kal wo khud mere khat ke jawab mein qasid jo kah raha hai yahi ho khuda kare ho jis ko bosa us lab-e-jaan-bakhsh ka nasib kyon wo talash-e-chashma-e-ab-e-baqa kare kis kaam ki bhala shab-e-furqat mein chandni odhe bichhae koi ise kahiye kya kare