aadmi khud ko bhala kaise bacha le jaega jis jagah marna hai us ko hadisa le jaega main agar tufan se bach bhi gaya to kya hua meri kashti ko bhanwar mein na-khuda le jaega aaj phir zakhm-e-jigar taza hai pahle ki tarah aaj phir mujh ko tera gham mai-kada le jaega aad mein tafrih ki tum chhod do aiyyashiyan warna phir pani samundar ka baha le jaega aadmi ke sath jaenge faqat us ke amal aur apne sath wo duniya se kya le jaega kis liye fariyaad le ke jaun main munsif ke pas jab sitamgar apne haq mein faisla le jaega soch ai insan teri hasti ki hai kitni bisat tujh ko jab tufan ka ek jhonka uda le jaega us ke sar pe aafiyat ka saeban hoga zarur sath jo khanjar buzurgon ki dua le jaega