biphrai biphrai maujen koson dur kinara sa upar baadal niche jal-thal aankh tale andhiyara sa patjhad ki kali raaton mein aankhen chundhiya jati hain mazi ki amrai se do logon ka lashkara sa pakte gud ki khushbu phail gai bhaunrali raaton mein ganw ka rasta thumak thumak kar man ko kare ishaara sa us ko kya malum nahin tha jogi kis ke mit hue kutiya mein do ek ghadi ko ho to gaya ujyara sa pakiza ehsas ke hathon pyas ki kaisi maut hui khushk labon par zaban pherta dole badan hathiyara sa koi chamakti si shai mera pichha karti rahti hai aankhen jidhar ghumaun ghume usi tarah angara sa bechaare ke panw kabhi dahliz kabhi darwaze par ghum raha hai ghar mein bandha bandha wo ek banjara sa