aadmi khwar bhi hota hai nahin bhi hota ishq aazar bhi hota hai nahin bhi hota ye jo kuchh log khayalon mein raha karte hain un ka ghar-bar bhi hota hai nahin bhi hota zindagi sahl-pasandi mein basar kar lena kar-e-dushwar bhi hota hai nahin bhi hota kar-e-duniya hi kuchh aisa hai ki dil se tera dard silsila-war bhi hota hai nahin bhi hota shadi-o-marg ne ye nukta bataya hai ki waqt tez-raftar bhi hota hai nahin bhi hota 'afzal' aur qais ne qanun banaya hai ki ishq dusri bar bhi hota hai nahin bhi hota