apne mahaul se kuchh yun bhi to ghabrae na the sang lipte hue phulon mein nazar aae na the dard zanjir ki surat hai dilon mein maujud is se pahle to kabhi us ke ye pairae na the chand bikhre hue rezon ke siwa kuchh bhi nahin sochte hain ki chatanon se bhi takrae na the tu ne khud roz-e-azal hum se panahen mangin zindagi hum tujhe daman mein chhapa lae na the hum ki har daur ki tazin mein rahe hain shamil ab bhi pachhtae nahin pahle bhi pachhtae na the