aadmi ko zauq-e-soz-e-dard-e-insan chahiye dard hi jis ki dawa ho aisa arman chahiye ek nae insan ka insan hai ab tak muntazir jo sarapa-dard-e-insan ho wo insan chahiye ai hakim-e-na-shanas-e-zauq-e-dard-e-dard-mand dard-mandon ke liye mujh ko hi darman chahiye doston ka qatl aula hai ba-jae dushmanan dushmanon par bhi to kuchh andaz-e-ehsan chahiye bahr-e-gham-khwari-e-insan umr shahron mein kati wusat-e-gham ko agarche tha bayaban chahiye dusre ka aish bhi wajh-e-masarrat hai agar muttasil apne gulistan ke gulistan chahiye gar hunar-mandi ka dawa mushkilat-e-fan se hai mere azm-e-shauq ko khar-e-mughilan chahiye jis ke zauq-e-zindagi se zindagi sab ko mile mere zauq-e-sher ko aisa ghazal-khwan chahiye ek 'anwar' hi shahid-e-dard-e-insan hai to kya nau-e-insan hi sharik-e-dard-e-insan chahiye