aadmi tha kya wahi ek kaam ka

aadmi tha kya wahi ek kaam ka
arz par jis ka koi maskan na tha

jo kisi ne pairahan mujh ko diya
wo mere hi tan ka hissa ban gaya

hum the judwan is liye tan ek tha
ek surgeon ne alag hum ko kiya

jal mein jab tak main raha zinda raha
tat pe sagar ke main aa kar mar gaya

jab kabhi main sochne kuchh lag pada
dur tak phir silsila chalta raha

main zamin par ek tarah ka bojh tha
wo to man thi us ko ye sahna pada

wajd mein aata kabhi to ped ki
tahniyon par chadh ke aksar jhulta

tha main salik ek anokha dahr mein
jo bhi maslak mil gaya main chal pada

aalam-e-jabrut ka sakin tha main
aalam-e-sifli mein kaise aa gaya

hadse ko rokna tha is liye
raste par ho gaya ja kar khada

band karte the kabhi the kholte
rup darwaze ka mujh ko kya mila

let jata pith ke bal farsh par
dekh leta jab bhi aate mein qaza

jo samawi the qamar par ja base
main tha khaki dahr mein hi rah gaya

mujh ko dena tha 'figar' un ka jawab
chitthiyon ka samne ambar tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close