dayar-e-dard se aaya hua nahin lagta main ahl-e-dil ko sataya hua nahin lagta mera wajud jahan hai wahan shuhud nahin main aa bhi jaun to aaya hua nahin lagta ye baat sach hai usi ne mujhe banaya hai magar main kun se banaya hua nahin lagta ye be-hijab falak aur ye be-libas zamin mujhe to kuchh bhi chhupaya hua nahin lagta hai barishon mein milawat ki gard aankhon mein koi bhi ped nahaya hua nahin lagta meri plate mein khilqat ki bhuk nachti hai isi liye mujhe khaya hua nahin lagta meri kamar pe lada hai anaj bachchon ka wo bojh hai ki uthaya hua nahin lagta fasurda chehra shikasta qadam jhuki nazren gharib bap kamaya hua nahin lagta dhari hai jis pe tasalli ki degchi 'wasif' mujhe wo chulha jalaya hua nahin lagta