aae baalin pe mere isi-e-dauran ho kar kyun magar baith gae sar-ba-gareban ho kar raunaq-e-bazm to hun surat-e-parwana magar aazmaen to mujhe sham-e-farozan ho kar na to jine ka maza hai na sakun marne mein zindagi rah gai ek khwab-e-pareshan ho kar ham-nafas puchh to le haal-e-nasheman bhi zara barq sayyaad ke ghar aai gulistan ho kar na rahi tab-e-nazar lutf-e-tamasha malum kya kiya aap ke jalwon ne pareshan ho kar dard bhi tum ne diya hai to dawa bhi tum do mere pahlu mein raho dard ka darman ho kar be-bas itne hue kyun ishq-e-butan mein 'zakir' kufr bakne lage ek mard-e-musalman ho kar