main pasti-e-akhlaq-e-bashar dekh raha hun phir nazm-e-jahan zer-o-zabar dekh raha hun mazlum ki aahon ka guzar dekh raha hun go dur bahut bab-e-asar dekh raha hun maqsad ye shahidan-e-watan ka na tha hargiz jo aaj shahadat ka samar dekh raha hun yun to hai har ek jins garan hind mein lekin arzan hai faqat khun-e-bashar dekh raha hun ghunchon ke labon par kahan aasar-e-tabassum har gul ka yahan chaak-e-jigar dekh raha hun sach hai kisi majbur ki fariyaad ko 'manzar' dekha nahin jata hai magar dekh raha hun