aae bhi wo to shakl dikha kar chale gae dil ki lagi ko aur badha kar chale gae bimar-e-gham ke pas wo aa kar chale gae bigdi hui thi baat bana kar chale gae han ai nigah-e-shauq bata tu kahan rahi wo gosha-e-naqab utha kar chale gae go mai-kade mein pi bhi rahe the janab-e-shaikh hum to yahi kahenge ki aa kar chale gae ai jazb-e-dil bata to sahi tujh ko kya hua kal jab wo hum se aankh bacha kar chale gae utthenge hashr tak na tere aastan se hum na-ahl hi wo honge jo aa kar chale gae girne lage jo un pe bhi parwane bar bar wo sham-e-anjuman ko bujha kar chale gae kuchh ham-safir ho gae sayyaad ka shikar kuchh khud hi aashiyan ko jala kar chale gae aakhir ye ku-e-ishq hai 'sahir' sanbhal ke chal lakhon yahan se thokaren kha kar chale gae