badi pur-fan nigah-e-sharmagin malum hoti hai ghazab dhati hai lekin dil-nashin malum hoti hai fareb-e-wada-e-farda ka itna sehr hai mujh par kabhi wo han bhi kah den to nahin malum hoti hai yaqin tha aarzu niklegi dil se un ke aane par magar kambakht wo ab tak yahin malum hoti hai ajab kya hai falak bhi dushmani par ab utar aae nazar us shokh ki kuchh khashmagin malum hoti hai bahut takid ki thi chashm-e-tar ko zabt-e-girya ki magar bhigi hui phir aastin malum hoti hai mohabbat rafta rafta jaan ki dushman na ho jae abhi tak to bahut kaif-afrin malum hoti hai nahin samjha na samjhe koi rutba khaksari ka hamein to hasil-e-duniya-o-din malum hoti hai hue hain panw zakhmi hoshiyar ab ai dil-e-nadan mujhe ye ku-e-qatil ki zamin malum hoti hai kahin se mang lai hai bala ki shokhiyan 'sahir' ghata sawan ki bhi kitni hasin malum hoti hai