aae hain fatiha ko wo gesu sanwar ke

aae hain fatiha ko wo gesu sanwar ke
chamke nasib aaj hamare mazar ke

dekho karishme rahmat-e-parwardigar ke
kya aade aai hashr mein mujh sharmsar ke

taswir ban gae hain wo zikr-e-visal par
qurban jaiye nigah-e-sharmsar ke

rone lage wo dekh ke haal-e-zabun mera
ehsan mujh pe hain sitam-e-rozgar ke

taskin khak baada-e-kausar se ho unhen
jin ko maze hon yaad mai-e-khush-gawar ke

kahte na the ki aap taghaful na kijiye
ab kyon gile hain nala-e-be-ikhtiyar ke

sone de shor-e-hashr zara chain se hamein
jage hue bahut hain shab-e-intizar ke

hushiyar kar diya kisi ghaflat-shiar ko
mamnun hum hain nala-e-be-ikhtiyar ke

sayyaad baal-o-par mere ab katta hai kyon
din to guzar chuke hain sitamgar bahaar ke

jhunjhla ke bol utthe ki le rakh tu apna dil
jhagde mujhe pasand nahin bar bar ke

aaina le ke zulf-e-girah-gir dekh len
puchhen sabab na aap mere intishaar ke

sargarm-e-sair wo hain udhar lala-zar mein
lale idhar pade hain dil-e-dagh-dar ke

shamat sawar ho na kahin tujh pe waiza
yun pichhe tu pada hai jo har baada-khwar ke

be-ikhtiyar pahlu-e-dushman se wo uthe
the shoabde ye nala-e-be-ikhtiyar ke

'nashtar' tumhaara zabt-e-fughan be-sabab nahin
aashiq zarur tum ho kisi parda-dar ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close