abas fikr-e-dawa mein hai pareshan chaaragar mera mera sar jaega to jaega ye dard-e-sar mera agar kuchh aarzu dil mein mere hai to bas itni hai tere tir-e-nazar ki nazr ho jae jigar mera tere paikan ko dil mein jagah di shauq se main ne kaleja tu ne dekha ai but-e-bedad-gar mera wo kahte hain ki zid hai aarzuon se teri warna na ho gar muddaa is mein to dil tera hai ghar mera main wo aafat-talab hun raat-din meri dua ye hai ki sar jae to jae par na jae dard-e-sar mera zara wo shokh khanjar bandh kar maqtal mein aae to nirala aaj hoga sab se mazmun-e-kamar mera idhar pahlu se uth kar koi jaane par hai aamada hua jata hai gham se haal idhar nau-e-digar mera nikalwaya gaya jis bazm se sau bar zillat se wahin phir le chala mujh ko dil-e-wahshat-asar mera raqibon ke chalan ko yun shikayat samne mere nahin hai meri jaan is chaal se dil be-khabar mera mita jata hai ab mehr-o-wafa ka nam aalam se hua jata hai duniya se koi dam mein safar mera tera tir-e-nazar dekhun tasalli kis ki karta hai idhar betab dil mera udhar nalan jigar mera wo un ka war khanjar ka lagana mujh pe tan tan kar wo hona qatl-gah mein shauq se sina-sipar mera chalaya naz se tir-e-nazar jab us sitamgar ne nishana ban gaya kis shauq se 'nashtar' jigar mera