aae hain 'mir' kafir ho kar khuda ke ghar mein peshani par hai qashqa zunnar hai kamar mein nazuk badan hai kitna wo shokh-chashm dilbar jaan us ke tan ke aage aati nahin nazar mein sine mein tir us ke tute hain be-nihayat surakh pad gae hain sare mere jigar mein aainda sham ko hum roya kudha karenge mutlaq asar na dekha nalidan-e-sahar mein be-sudh pada rahun hun us mast-e-naz bin main aata hai hosh mujh ko ab to pahr pahr mein sirat se guftugu hai kya mo'tabar hai surat hai ek sukhi lakdi jo bu na ho agar mein ham-saya-e-mughan mein muddat se hun chunanche ek shira-khane ki hai diwar mere ghar mein ab subh o sham shayad girye pe rang aawe rahta hai kuchh jhamakta khunab chashm-e-tar mein aalam mein aab-o-gil ke kyunkar nibah hoga asbab gir pada hai sara mera safar mein