maiKHane pe chhai hai afsurda-shabi kab se

maikhane pe chhai hai afsurda-shabi kab se
saghar se gurezan hai khud tishna-labi kab se

ai saya-e-gesu ke diwano batao to
mear-e-junun thahri rahat-talabi kab se

chusa hai lahu jis ne barson mah-o-anjum ka
insan ka muqaddar hai wo tira-shabi kab se

ek hashr sa barpa hai zindan se bayaban tak
paband-e-salasil hai iza-talabi kab se

jis ke liye saz apna sar phodte phirte hain
naghmon ki wo daulat hai sine mein dabi kab se

jo dar-o-rasan ko bhi khatir mein nahin lati
tazir ke qabil hai wo be-adabi kab se

fursat gham-e-dauran se milti hi nahin 'arshad'
dil mein liye phirte hain mauj-e-inabi kab se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close