aae ho to marzi se tum ja sakte ho aur chaho to mud kar wapas aa sakte ho dur udasi karni ho to shauq se tum kamre mein meri taswir laga sakte ho ye andhon ka khel hai pyare tum is mein ba-asani har kirdar nibha sakte ho aadi-tirchhi chand lakiren khinch ke tum kaghaz par koi shahkar bana sakte ho main ne jo kuchh kahna tha sab kah dala yani ab tum apni baat suna sakte ho