butan-e-khisht-o-sang se kalam kar ke aa gaya ki main tumhaare shahr mein bhi sham kar ke aa gaya wahan kisi ko yaad bhi nahin tha mera nam tak jahan main apni zindagi tamam kar ke aa gaya gali mein khelta hua mila tha apna bachpana jise main hasraton bhara salam kar ke aa gaya tumhaara nam phir kured kar udas ped par khizan mein fasl-e-gul ka ehtimam kar ke aa gaya takallufat mein guzar gai hayat-e-sarhadi ki jaise ajnabi ke ghar qayam kar ke aa gaya