aae kuchh sabr kuchh qarar aae is tarah bhi kabhi bahaar aae jumbish-e-lab wahi hai tu bhi wahi phir mujhe kyon na eatibar aae ya chaman ko chaman na kahne de ya wahi bu-e-mushk-bar aae sham-e-mahfil ko ye khabar na hui kis qadar us ke jaan-nisar aae main pareshan sahi udas sahi tere chehre pe kyon ghubar aae jab kisi ka bhi intizar nahin phir khizan aae ya bahaar aae jab hua chaak chaak pairahan kaam daman ke tar tar aae aarzu hasraten tamannaen zindagi qaid mein guzar aae aaj kya kah diya kisi ne 'shamim' ashk aankhon mein bar bar aae