ab hum ne ye socha hai koi gham na karenge ehsas bhi mar jae to matam na karenge sine se laga rakkha hai jis dard ko hum ne badh jae to badh jae ise kam na karenge so jaenge tanhai ki banhon mein lipat kar ab gesu-e-shab jag ke barham na karenge rahna hai yahan bhi hamein jaana hai wahan bhi ye kaise kahen fikr-e-do-alam na karenge aghyar ko ahbab na samjhenge 'shamim' ab is bab mein ab koi khata hum na karenge