aae kya kya yaad nazar jab padti in dalanon par us ka kaghaz chipka dena ghar ke raushan-danon par aaj bhi jaise shane par tum hath mere rakh deti ho chalte chalte ruk jata hun sari ki dukanon par barkha ki to baat hi chhodo chanchal hai purwai bhi jaane kis ka sabz dupatta phenk gai hai dhanon par shahr ke tapte futpathon par ganw ke mausam sath chalen budhe bargad hath sa rakh den mere jalte shanon par saste damon le to aate lekin dil tha bhar aaya jaane kis ka nam khuda tha pital ke gul-danon par us ka kya man-bhed bataun us ka kya andaz kahun baat bhi meri sunna chahe hath bhi rakkhe kanon par aur bhi sina kasne lagta aur kamar bal kha jati jab bhi us ke panw phisalne lagte the dhalwanon par sher to un par likkhe lekin auron se mansub kiye un ko kya kya ghussa aaya nazmon ke unwanon par yaro apne ishq ke qisse yun bhi kam mashhur nahin kal to shayad nowel likkhe jaen in rumanon par