chal khud ko latka kar dekhen phande se wahm mujhe aksar aate hain gande se bar uthana sab ke bas ki baat nahin kad kad aawazen aati hain kandhe se hum bhi lashon ke is dher ka hissa hain kis ne par kiye ambar buland aise bhuke pet ko katenge jab katenge jiwan pahiya kab chalta hai chande se padh kar phir se mar jate hain zinda log qabron ko bheje jate hain sandese phute ped ki shah-rag se zangari dhaar kaam chalao aare se ya rande se donon hain masruf bahut mobile mein banda ab kya baat karega bande se bas tan ko apnate hain thukraate hain hum ko kya lena dhan se aur dhande se