aae kya tera tasawwur dhyan mein kuchh se kuchh hai aan hi ki aan mein yan ishaaraat-e-ghalat par zindagi wan ada hai aur hi saman mein tegh-e-qatil hai rag-e-gardan meri aab-e-paikan dam tan-e-be-jaan mein ya to qatil ho gaya rahm-ashna ya pade honge kahin maidan mein ashk apne phir phira kar har taraf aae aakhir tere hi daman mein hae kaise kaise warasta-mizaj sar-nigun dam band hain zindan mein kaba aankhon mein samata hi nahin kya buton ne kah diya kuchh kan mein aankh ke uthte hi uthte kuchh na tha hum chale arman hi arman mein dair-o-kaba par nahin mauquf kuchh aur hi kuchh shan hai har shan mein girya-e-sad-sirri aur hum kam-hausla kashti apni aa gai tufan mein jannat o dozakh se kya ummid-o-bim hasraten si hasraten hain jaan mein khud-parasti aur islam-afrin kaba-e-ashiq hai kufristan mein ai 'qalaq' kal tak gada-e-dair the aaj dawe ho gae iman mein