aae the ghar mein aag lagane sharir log aur hans rahe the dur khade be-zamir log himmat kahan hai mujh mein ki sach bol kar dikhaun baithe hue hain jode kamanon mein tir log har aadmi ke lab pe hai ek dil-shikan sawal aakhir kahan chale gae wo dil-pazir log ek roz kah diya tha haqir inkisar mein ye baat sach samajh gae sare haqir log dast-e-talab daraaz karen bhi to kya karen dekhe gae hain dast-nigar dast-gir log jo puchhna hai puchh le aur chhod rasta tikte nahin kisi bhi jagah hum faqir log barpa kiya gaya tha gharibi mitao jashn shamil the is mein shahr ke sare amir log