ab tere hijr mein yun umr basar hoti hai sham hoti hai to ro ro ke sahar hoti hai kyun sar-e-sham umidon ke diye bujhne lage kitni viran teri rahguzar hoti hai be-khayali mein bhi phir un ka khayal aata hai wahi taswir mere pesh-e-nazar hoti hai ye awadh hai ki jahan sham kabhi khatm nahin wo banaras hai jahan roz sahar hoti hai apne barbaad nasheman ko bhula deta hun jab sulagte hue gulshan pe nazar hoti hai barq girti hai to khirman ko jala jati hai kab use mehnat-e-dahqan ki khabar hoti hai hae phulon ke muqaddar pe bhi dil rota hai zindagi un ki bhi kanton mein basar hoti hai aariz-e-ghuncha-o-gul aur dahak uthte hain ashk-e-shabnam mein bhi tasir-e-sharar hoti hai main wo mahrum-e-mohabbat hun ki 'anwar' meri jo dua hai wahi mahrum-e-asar hoti hai