aaega tere pas na duniya ka koi shar ai sahib-e-ausaf tu wannas padha kar manzur-e-nazar ahl-e-tarab hi hain tere kyon hum se bhi to tu mil kabhi sahraon mein aa kar logo ki nigahon se chhupaun tujhe kaise ai shakhs tera nam to likkha hai jabin par ab aankh ke sote se nikalta nahin hai khun ek umr hui sukh gaya dard ka saghar tu wadi-e-gulshan ke ujadne ka sabab hai ilzam ye rakkha hai bahaaron ne mere sar