kohkan aashiq raha na qais diwana raha ab zaban-zad-khalq to apna hi afsana raha dekh kar kahte hain sab abru o chashm-e-mast-e-yar kyunki mehrab-e-haram ke niche mai-khana raha kis tarah se ye nagar ai ham-nafas aabaad ho barson shahr-e-dil pe jaish-e-ishq ka thana raha nit rahe wabasta-e-zanjir-e-zulf-e-mahwishan firqa ushshaq mein apna yahi bana raha garche khwab-o-khur se hijran mein hue farigh wale shab ki bedari rahi aur un ko gham khana raha taqat-o-sabr-o-khirad to de chuke kab ke jawab hijr mein ab ek baqi hum ko mar jaana raha dil ulajhta hai mera jaldi bata mashshata aaj der tak zulfon mein us ki kis liye shana raha hum to aql-o-hosh ke 'nami' ke qail hain ki ye umr bhar husn-e-pari-ruon ka diwana raha