aaegi phir chaman mein jaane bahaar kab tak karna padega mujh ko yun intizar kab tak jine ki aarzu mein marne ki justuju mein hota rahega mera dil be-qarar kab tak ehsan karo na koi main kya jawab dunga karte rahoge mujh ko yun sharmsar kab tak tarz-e-wafa tumhaari kya hai na mil sako tum phirta rahun bata do main sogwar kab tak ek din samet lunga bahon mein un ko 'alam' dil par mera rahega yun eatibar kab tak