dil na lagne ka ek bahana tha kyon thaharte wo un ko jaana tha hum ne qadmon mein rakh diya sar ko wo the ruthe hue manana tha meri aankhon pe hai magar ehsan un ko parda kabhi uthana tha ek thi jumbish-e-nazar kafi meri bigdi ka kya banana tha thi na ghairon se gar tujhe fursat mujh se hargiz na dil lagana tha kyon mere sath sath wo chalte un ke qadmon mein khud zamana tha dil lagana kahan tha ye 'alam' khun-e-dil is tarah bahana tha