aaenge gar unhen ghairat hogi wo na aae to qayamat hogi hashr mein kaun sunega fariyaad sadd-e-rah hadd-e-samaat hogi nang-e-nazzara hai hum chashma-e-am hum na dekhenge jo ruyat hogi yak taraf ho ke rahenge yak-rang hum ko aaraf se nafrat hogi shikwa hai din-e-wafa mein ehdas mujh se kahe ko ye bidat hogi hain qayamat mein tammul kya kya wasl ki kaun si saat hogi reg hun chahiye dariya-e-sharab mai-kade par na qanaat hogi hai shab-e-wasl-e-do-alam gesu wo jabin subh-e-shahadat hogi bahr-e-rahmat hai do-alam ko muhit mere mashrab ki si wusat hogi mai se aaluda hua daman-e-husn muttahim khun ki tohmat hogi khinchta tha koi un ka daman khak mein wasl ki hasrat hogi ras hai chaara-e-bil-misl mujhe qaid se aur bhi wahshat hogi shoala-ru padhte hain kalima tera shama angusht-e-shahadat hogi ghair ki aag mein jalne na diya husn ki si kise ghairat hogi washuda ghuncha-e-khatir mat mang muntashir bu-e-mohabbat hogi zahr lagti hai unhen meri hayat kyun ki manzur-e-shahadat hogi kha gae nargis-e-shahla ka fareb ki un aankhon mein murawwat hogi teri zulfon ne chadhae chille dil ki is kuche mein turbat hogi ban gae sat jahannum tah-e-khak kis ke pahlu mein ye hiddat hogi kahin sar phod ke mar rahiye 'bayan' ek jahan se to faraghat hogi